Maa banne ka safar- pet me palti nanhi si jaan-maa bachcha or pita ka rishta

 Radhe Radhe doston!

Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai


Aaj main ek esi kahani  layi hoon jo har aurat ke  dil ke  sabse karib hoti hai — maa banne ki  pehli kharab se lekar bache ke janm tak ka safar.

Is safar mein maa ke aansu bhi hain, muskaan bhi — aur pita ka vo majboot kandha, jo har dard ko chupchap sahkar bhi har Khushi mein muskura deta hai.


💖 Jab Pata Chalta Hai – Main Maa Banne wali Hoon!

Ye pal Woh hota hai jab ek aurat sirf bati, bahu ya patni nahin rahti — woh ek maa ban jaati hai.

shayad duniya me koi khabar itni gahri nahin hoti— jab use pata chalta hai ki uske andar ek nanhi si jaan pal rahi hai.


Woh pregnancy test ki 2 lines dekh kar aankhon ma woh pahla ansu ata hai — dar aur shukhi dono ke kai sawal dimag me ghumte hain

Kya main sambhal paungi? kya sab thik rahega? Kya main ek achhi maa ban paungi? 

Fir woh dheere se apne pati ko batati hai — aur unke chehre par woh pehla smile — woh pal dono ke liye kabhi na bhoolne wala hota hai.


🌸 9 Mahine Ka Safar – Sapno Aur Sacrifice Ka

Fir shuru hota hai woh 9 mahine ka naya safar                                                                      Ek maa ke liye har din ek naye ehsaas se bhara hota hai — kabhi kisi cheez se ulti hoti hai, kabhi kisi cheez ka man karta hai, kabhi bina wajah ro dena, kabhi bina wajah muskura dena।

Her ultrasound report maa ke liye ek nayi umeed hoti hai — baby thoda bada ho gaya, heartbeat sunai di — ye sab pal dil mein humesha ke liye chhap jaate hain।

Par is safar mein sacrifice bhi bohot hai — kabhi doctor ki daant, kabhi khud se pyari cheez chhod dena।

Maa apne khane peene, sone jagne, chalne phirne — sab ka dhyan rakhti hai।             Aur woh pita? woh bhi har pal maa ka haath tham kar khada rehta hai।

Doctor ki appointments, medicines ka time, maa ke nakhre — sab kuch woh bina shikayat sambhalta hai.


🌼 Maa Aur Bacche Ke Beech Ka Man Ka Rishta – Ankahe Sawal, Pyare Jawab

Jab maa ke andar ek nayi jaan pal rahi hoti hai, toh woh bas doctor ki report ya ultrasound nahi dekhti —

 woh apne bacche se roz milti hai, baat karti hai, bina kisi shabd ke bhi woh rishta mazboot hota hai.

Har raat maa apne pet par haath rakhti hai aur pyaar se bolti hai —                            "Mere bacche, tu kaise hai?"

Kabhi woh hans kar kehti hai —              "Jaldi se aa jaa, main tujhe apni god mein lena chahti hoon."

Phir chupke se bacche se kehti hai —

"Dekhna, main tujhe sabse acchi maa ban kar dikhungi. Tujhe kabhi kisi cheez ki kami nahi hone dungi."

Yeh woh baatein hain jo duniya nahi sun paati — par maa aur baccha dono sunte hain, mehsoos karte hain aur is rishte ko janam se pehle hi mazboot bana dete hain।

Yeh hi toh hai woh rishta —

na kabhi chhootne wala, na kabhi tootne wala… bas mann se mann tak, maa se bacche tak।


🌱 Pita Ki Bhumika – Chupke Se Mazboot Sahara

Log kehte hain maa sab kuch karti hai — sahi hai — par pita bhi chupke se har pal maa ka hero banta hai।

Koi jab hospital mein maa ko injection lagata hai toh pita hi haath pakad kar himmat deta hai।

Kabhi maa raat bhar neend nahi leti, toh pita paani laakar deta hai, maa ko samjhata hai — “sab theek hoga”।

Woh sapne bunta hai — baby ka naam kya rakhenge, baby ladka hoga ya ladki?

Kaise woh pehla toy kharidega, kaise pehli baar god mein uthayega।

Kabhi woh bhi dar jaata hai — par woh dar kabhi maa ko mehsoos nahi hone deta.


🌷 Bacche Ka Janm – Ghar Mein Ek Nayi Muskurahat-

Wo din sabse khaas hota hai — jab hospital mein mummy papa dono ki saansen atak jaati hain।

Pain aur takleef ke baad jab maa ke god mein uska bacha kilkariyan leta hai —     woh sab dard pal mein chala jaata hai।


Pita pehli baar jab apne baby ko dekhta hai — uski aankhon mein woh chamak sab kuch keh jaati hai।

Hospital ke room mein maa ki muskurahat aur pita ki aankhon ke aansu — woh pal iss safar ka sabse bada inaam hota hai।

Us din ghar mein sirf ek baby nahi aata — ek maa ka naya janm hota hai, ek pita bhi sach mein pita ban jaata hai.

🌼 Maa Aur Bacche Ka Rishta – Ankahe Pyaar Ka Dhaaga-

Baccha kabhi raat mein rota hai, maa neend mein bhi uth kar god mein le leti hai।

Kabhi uski nepi badalne me, kabhi use doodh pilane me, chhoti chhoti baton pe maa poora din busy rehti hai।

Pita bhi office jaane se pehle bacche ko god mein uthata hai — thak kar aane ke baad sabse pehle use god me uthata hai.uska masoom sa chehra dekhkar apni thakan bhool jaata hai।

Yeh rishta koi kitab mein nahi likha hota— bas maa aur pita apne pyaar se har pal ise jeete hain।


Ek Chhoti Si Shayari – Maa Bacche Aur Pita Ke Naam-

Koi rishta itna gehra kahaan.                      Maa ke pet mein bhi bacha akela kahaan.

Haath rakh ke pet par keh deti hai maa,    “Tu darna mat, main hoon na”

Paas na hokar bhi dil se juda rehta hai,    Maa ke sapno mein bacha har pal kehta hai।

Maa main tujhse dur sahi par tera hi to   hissa hoon.                                                             Man ki ankhon se dekh mujhe main tere jaisa dikhta hoon.

“Maa teri godh mein khushiyan ban ke aaya hoon,                                                                  papa aapke kandho par main duniya dekhne aya hoon.

Maa tere aansuon mein apni muskurahat bhar doonga,                                                  Papa aapke sapno ko main sach kar doonga।”


🌷 Meri Salah:

“Agar aap maa banne wali hain toh apne liye pyaar se waqt nikalein tension bilkul mat lein — healthy khayein, thoda rest karein aur sabse zaroori — apne partner se baat zarur share karein। Pita ke liye bhi salaah hai — maa banne wali wife ko sirf wife na samjhein, woh ek nayi zindagi sambhal rahi hai — uska sahara banein। Har pal use hasayein motivate karein — kyunki maa khush toh baccha bhi khush!


“Maa banne ka safar sabke liye khaas hota hai — aapka yeh safar kaisa raha ya koi yaadgar pal ho toh comments mein zarur likhiye — shayad aapke jazbaat kisi aur maa ko himmat de dein!”


Dhanyawad!

Radhe Radhe!                                              Aapka din mangalmay ho! 🌷✨

Comments

Popular posts from this blog

Jal Hi Jeevan Hai — Har Boond Mein Jeevan Ki Kahani

Har Aurat ki ek hi kahani