Chhutti Ka Din — Khud Se Milne Ka Waqt
Radhe Radhe doston!
Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai!
Aaj main aapko lekar chalti hoon ek aise din ke safar par, jiska hum sabko besabri se intzar rahta hai — chhutti ka din.
Chhutti ka din sirf kaam se break nahin hota, balki dil ko sukun dene ka mauka bhi hota hai.
Chhutti ka matlab sirf rest nahi hota…
Bachpan mein chhutti ka matlab hota tha — der tak sona, TV dekhna, bina uniform ke din bitana…
Jawani mein chhutti ka matlab ban gaya — pending kaam poore karna, aur kabhi kabhi bas phone scroll karte rehna.
Lekin jab hum thoda ruk kar sochte hain… toh chhutti ek aur bhi kuch hoti hai—
Ek din jo sirf free time nahi, balki apne aap ke paas lautne ka ek zariya hota hai
Ek chhoti si subah, bina alarm ke-
Chhutti ki subah kuch alag hi hoti hai— na koi office ki daud, na school ki tayyari, na kaam ka pressure.
Sirf ek halka sa sukoon — bina kisi tension ke aankh kholna, aur chadar mein lipti huyi ek narm si muskurahat।
Kai baar hum is subah,woh sab mehsoos karte hain, jo busy routine mein kahin chhoot gaya hota hai—
apni saans, apne jazbaat, aur apne sapno ko…
Chhutti ka sach — sab kuch karne ka pressure-
Aksar hum chhutti ke din bhi itna kuch plan kar lete hain —
"Ye kaam bhi karna hai, wo kaam bhi karna hai, wardrobe clean karna hai, pending mails dekhna hai…"
Aur fir raat ko lagta hai — "Aaj bhi din chala gaya, kuch apne liye nahi kiya…"
Par kya har chhutti ese bitani jani chahiye?
Kabhi-kabhi toh chhutti ka matlab sirf khud ke saath baithna bhi ho sakta hai— bina kisi guilt ke, bina kisi list ke.
Chhutti — ek mulaqat khud se-
Jo din sirf tumhare liye hota hai, us din tum kis se milte ho?
Kya tum apne doston se milte ho? Family ke saath waqt bitate ho?
Ya sirf phone aur social media se chipak jaate ho?
Chhutti ka asli sukoon tab milta hai jab hum apne andar ki awaaz se baat karte Hain—
Woh awaaz jo roz ke shor mein dab jaati hai,
Woh khayal jo kaam ke peeche chhup sa jaata hai.
Bachpan ki chhuttiyaan — ek aur duniya
Yaad hai vo garmiyon ki chhutiyan? dhoop mein aam tode jaate the.
Nani ke ghar ki kahaniyaan, aur raat bhar bhai- behno ke saath hasi-mazaak।
Tab chhutti ka matlab hota tha jeene ki azaadi — bina kisi zarurat ke bhi khush rehne ka sabab।
Aaj bhi agar hum aankh band kar ke sochen, toh vo ek pal laut aata hai —
jahan chhutti matlab tha khul ke jeena, bina kisi time-table ke muskurana.
Chhutti ka asli tohfa — ek pal ka thehraav
Zindagi hamesha bhaagti rehti hai— har din bohot se kaam .
Lekin chhutti ek mauka hoti hai, theher jaane ka,
ek cup chai ke saath chhat par baithne ka,
ek purani diary khol kar kuch purani yaadein padne ka,
ya bas khud se poochhne ka — “Main theek hoon na?”
Chhutti ka matlab sabke liye alag hota hai…
Kisi ke liye chhutti sirf rest hoti hai.
Kisi ke leye nayi jagah ko dekhna. Kisi ke liye ghar saaf karna. Aur kisi ke liye khud ko dobara paana.
Par ek baat sab mein common hoti hai—
har chhutti ek mauka hoti hai— zindagi ko dobara mehsoos karne ka.
Ek pyari si shayari chhutti ke din ke naam-
Aaj na ghadi ki chinta hai, na waqt ka gham, Aaj chhutti hai… khud ke sang hain hum।
Aaj na kahin jaana, na kuchh kaam, Aaj ka din sirf apne naam।
Kahin dhoop mein baithna, kahin chai ke sang, Aaj dil kare jahan wahi ho liye hum.
Na kisi se milne ki fikr, na kisi baat ka bojh, Aaj ka din hai khaas dil ki karenge baat.
Na koi target, na koi race, Aaj zindagi se ho jaye face to face
☘️Meri Salah
Chhutti ke din ko sirf bekar na hone dein, na hi usse pressure ka ek aur din banne dein। Us din thoda waqt nikaaliye: Kisi apne ko call kijiye — bina kisi kaam ke Ek chhoti si walk par jaaiye — bina kisi destination ke. Apne liye chai banaiye — bina jaldi mein. Thoda sa likhiye, gungunaaiye, ya sirf aasmaan ko dekhiye
πΉKyunki zindagi ka asli rang inhi chhoti chhoti khushiyon mein chhupa hota hai।
πAapka chhutti ka din kaisa hota hai?
Kya aapne kabhi aisi chhutti li hai jisme sirf khud ke saath waqt bitaya ho?
Comments mein zaroor likhiye — ho sakta hai aapka ek chhota sa pal kisi aur ka prerna ban jaaye. πΏπ
Dhanyawad!
Radhe Radhe! π Aapka din mangalmay ho! πΉ
Comments
Post a Comment