Parivaar – Jahan Dil Basta Hai, Zindagi Muskurati Hai

Radhe Radhe doston!

Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai!


Kya aapne kabhi socha hai… ghar ka matlab sirf chaar deewarein nahi hota, aur parivaar ka matlab sirf kuch rishte nahi hote?

Parivaar wo ehsaas hai jo dard ko aadha aur khushi ko dugna bana deta hai. Wo aangan hai jahan sanskaar ugte hain, wo chhat hai jahan pyaar barasta hai.

Aaj ka blog unhi rishton ke liye — jo sirf khoon se nahi, ehsaas se jude hote hain.

Un logon ke liye — jinke saath sirf waqt nahi, zindagi bitaai jaati hai.




Ehsas ka rishta --- khoon se pare-

Parivaar sirf maa-baap, bhai-behen, pati-patni ya bachche nahi hote.

Parivaar wo hote hain jo aapke bina kahe apki baat samajh jaayein, Jo aapke aansuon mein chhupa dard dhoondh lein,

Jo aapke khamoshi mein aapke jazbaat padh lein. Bachpan mein jab gir jaate the, maa daud ke aati thi.

Thoda bada huye toh papa ki ek muskurahat mein himmat milti thi.

Aur kabhi kabhi bhai-behen ki nok-jhonk mein chhupi hoti thi woh gehri dosti.

Wo raaton ko chhup-chhup ke ki gayi baatein, Wo roothna-manana… sab parivaar ka hissa tha




"Balidan – Na Nazar Aata Hai, Na Kaha Jaata Hai, Par Hamesha Mehsoos Hota Hai"-

Papa ne kabhi naye jute nahi liye, taki hum naye school bag le sakein.Maa ne apne sapne side mein rakh diye, taki humare sapne sajein.

Bhai ne apna hissa chhoda, behen ki shaadi ke liye.Aur humne kab in sab par dhyan diya?

Parivaar mein pyaar dikhaya nahi jaata… nibhaaya jaata hai.Kabhi daant ke roop mein, kabhi khamoshi mein.

Kabhi paranthe mein extra makkhan daal ke, kabhi thandi raaton mein bina bole kambal upar kar ke.

Aadhunik Zindagi – Vyast Duniya, Kamzor Hote Rishte?-

Aaj hum sab ke paas smartphones hain, par rishton ke liye waqt nahi.Ek hi ghar mein rehkar bhi hum door ho gaye hain.

Ek table par dinner karte hain, lekin aankhon mein screens hoti hain.Kya hum apne parivaar ko sirf weekend tak seemit kar rahe hain?

Kya sirf tyohaaron par yaad aate hain maa-papa ke phone calls? Yeh sawal chubhte hain… lekin zaruri hain.


Rishton ki takat -

Parivaar vah haveli nahi jo virasat mein mil jati hai,
balki ek khubsurat sa mahal hai,

jise hum apne rishton, pyaar aur vishwas ki neev par banate hain."

Jahan ek hug sab kuch theek kar deta hai,Jahan ek muskaan din bana deti hai.

Jab mushkilein aati hain, toh parivaar chhaya ban jaata hai.Jab safalta milti hai, toh sabse pehle usi ki yaad aati hai.

Jo log har waqt saath nahi hote, par har dua mein hote hain — wahi toh parivaar hote hain


Parivar har mod per sath-

Har vyakti kabhi na kabhi kuch ese hi safar se guzrata hai.

Kabhi doori mehsoos ki, kabhi rishte chhote lagne lage.

Lekin har baar, har mod par, parivaar ne hi sambhala.

Maa ke ek phone call ne aansu pochh diye. Papa ki awaaz ne andheron mein raasta dikha diya.

Behen ne door rehkar bhi saath hone ka ehsaas dilaya.

Aur tab samajh aaya — duniya kuch bhi ho, parivaar sab kuch hai.

Tabhi to kahne hain na,batao kya?

Baki sab sapne hote Hain. Apne to apne hote hain.

Parivaar – Har Din Ki Muskurahat Ka Karan"-

Jab duniya se haar jaate hain, toh parivaar hamesha jeet ka vishwas deta hai.

Jab hum khud ko nahi samajh paate, toh parivaar humein samajhta hai.

Jab sab kuch khoya lagta hai, toh parivaar hamesha paas hota hai — bina shart ke, bina wajah ke.



Ek pyari si shayari apne parivar ke naam-

Har mod par saath chale, ek aisa karwaan hota hai,
Toot ke bhi jud jaaye, wo rishton ka jahaan hota hai.

Na koi shart, na koi daam, sirf pyaar ki boli hoti hai,
Parivaar ke har kone mein bas khushboo pyaar ki hoti hai.

Maa ki god mein jannat ka sukoon chhupa hota hai,
Papa ke kaandhe pe poora aasmaan tike hota hai.

Behen ki baat mein mithaas si muskaan hoti hai,
Bhai ke saath har mushkil aasaan hoti hai.

Ghar eet-patthar ka makan nahi hota
Ghar hota hai vo jisme parivar basa hota hai

Jab duniya se har jate hain parivar sahara deta hai
Zindagi jeene ka asli maza parivar ke sath hi to hota hai



Meri salah:

Zyada Call Karo, Kam Scroll Karo

Roz sirf 5 minute maa-papa ko phone lagaiye. Unki zindagi ke sabse bade khushi ke pal wahi hain.

Chhoti Chhoti Khushiyon Ka Jashn Manao

Sirf birthdays aur anniversaries nahi, ek choti si job success ya school performance bhi mil baithkar celebrate kariye.

Apne ghar ko sirf makan mat samajhiye:-

Usmein mohabbat ka rang bhariye. Ek selfie, ek rasoi ki khushboo, ek purani yaad — sab se ghar banta hai.

Maafi mangne mein der mat kijiye Parivaar mein ego nahi, pyaar sabse bada hota hai.

Apne bachchon ko rishton ki keemat sikhaiye:Taki kal woh sirf career nahi, connection bhi samjhein.

Kya aapne bhi mehsoos kiya hai parivaar ka yeh ehsaas? Toh ek baar

comment mein zaroor likhna – kyunki har kisi ke dil mein chhupa hota hai ek apna sa rishta…” 🤍




Dhanyawad!

Radhe Radhe! 🙏  
Aapka din mangalmay ho🌹

Comments

Popular posts from this blog

Jal Hi Jeevan Hai — Har Boond Mein Jeevan Ki Kahani

Har Aurat ki ek hi kahani

Maa banne ka safar- pet me palti nanhi si jaan-maa bachcha or pita ka rishta