Zindagi Kya kehti Hai- Zindagi Ki Awaz

Radhe Radhe doston!

Rakhi ki diary mein aapka swagat hai!

Aaj hum baat karenge zindagi ki... us awaaz ki jo kabhi dheere se hume kuch samjha jaati hai, aur kabhi zor se hila ke keh jaati hai – “Main hoon, aur main tumse kuch kehna chahti hoon…” woh hai zindagi.



Zindagi ke thoughts-

Na ye sirf waqt hoti hai, na hi sirf lamhon ka ek silsila.
Zindagi ek kitaab hai – jisme har panna alag hai, har mod anjaana, aur har sabak gehra.

Bachpan mein lagta tha zindagi sirf khilkhilahat ka naam hai.

Khilone, chhoti chhoti khushiyan, maa ke haathon ka khaana, aur bina wajah ki muskaan – sab kuch itna asaan lagta tha.

Par jaise jaise bade hote gaye, zindagi har mod par kuch kehne lagi.



 Zindagi ki sachchai-

Ek samay aaya jab pehli baar kisi baat ne rulaya...
Jab doston ki dosti badal gayi,

Jab parivaar ke beech dooriyan mehsoos hone lagi,
Jab samajh aaya ki har muskaan ke peeche ek kahani hoti hai,
Aur har khushi se pehle ek imtihaan.

Zindagi kehne lagi.....
“Main hamesha aasaan nahi hoon, par 
  main hamesha tere saath hoon.”


 Zindagi ka sabse bada sabak:-

Zindagi sikhati hai ki har kisi ka waqt alag hota hai.
Kisi ke paas sab kuch hota hai phir bhi sukoon nahi hota,

Aur kisi ke paas kuch nahi hota phir bhi chehre par roshni hoti hai.

Zindagi keh jaati hai –

“Jo mila hai usme khush rehna seekh le,
  jo chala gaya usme uljha mat reh.”




🕊 Zindagi ke chhote chhote pal:-

Kabhi ek subah ki chai mein sukoon milta hai,
Kabhi kisi apne ki ek muskaan sab gham door kar deti hai,

Kabhi kisi ajnabi ki madad se dil bhar aata hai,
Aur kabhi ek purani diary padkar lagta hai –
“Main kitni door aa gayi hoon apne aap se…”

  Zindagi kehti hai –
“Ruko zara, mehsoos karo...

main bhaagti nahi, main bas chalti hoon tumhare saath-saath.”



🌱 Zindagi aur hum:-

Kabhi hum zindagi se shikayat karte hain,
Aur kabhi usi zindagi ko apna sabse achha dost bhi keh dete hain.

Zindagi hamesha ek jaise log nahi deti,
par har ek insaan se koi na koi sabak 
zaroor sikhwati hai.

Kabhi koi hume todta hai,
to kabhi koi hume jodta hai.

Aur is beech, hum seekh jaate hain —
khud ke saath chalna.




💭 Zindagi ka ek paighaam:-

Zindagi humse kehti hai –
“Har baar jeetna zaruri nahi hota,

kahi baar girke uthna hi jeet hoti hai.
Aur kabhi kabhi bas muskurana bhi ek bahaduri hoti hai.”



Zindagi ek safar hai,
jisme raste kabhi asaan nahi hote,

par humare kadam agar thak bhi jaayein,
to man ka hausla humein aage badha deta hai.




👩‍❤️‍👨 Zindagi aur rishton ki awaaz:-

Kabhi ek maa ka aansu hume zindagi ka dard samjha deta hai,
Kabhi ek bachche ki muskaan hume jeene ki wajah de jaati hai.

Kabhi shaadi ke rishte mein samjhota hota hai,
to kabhi dosti ke bandhan mein asliyat ka chehra.

Aur zindagi fir se kehti hai –

“Rishta wahi sacha hai jahan samajh zyada ho, aur ummeedein kam.”

💌 Zindagi se ek narmi bhara guftagu:

Zindagi, tu kabhi kathin, kabhi komal...

Tu kabhi samajh mein aayi, kabhi sirf mehsoos hui.
Tu kabhi akele chhod gayi,
aur kabhi bina bole gale laga liya.

Zindagi se main aaj itna hi kehna chahti hoon –
"Shukriya... har dard, har khushi, har yaad ke liye.
Tu ne hi toh mujhe main banaya."

Zindagi hamesha perfect nahi hoti,

lekin agar aapka nazariya saaf ho, to har raasta roshan ho jata hai.



Aur yaad rakhna — zindagi hamesha wahi kehti hai jo dil sunnana chahta hai… bas thoda sa khamosh ho kar sunna padta hai


Ek Shayari – Zindagi ke naam:-


Zindagi ek raaz hai, geeton ka saaz hai.

Kabhi hansna sikhaati hai, to kabhi rula
 jaati hai.

Kabhi khushi ke mele hain, 

kabhi dukh ke jhamele hain.

Manzil milti hai, par raaste musafir se poochhte hain,

Kya kho kar paaya hai, har pal yahi sochte hain.

Toh chalo jiyo is pal ko apna samajh ke,

Na past ka gham, na future ka darr rakh ke.

Zindagi ke har lamhe ko gale lagana seekho,

Zindagi ke har emotion ko apnana seekho.

Girkar uthna seekho, yahi zindagi ka 
paigam hai,

Aur jo kabhi hara nahi, wahi to sachcha insaan hai.


Meri Salah:

Zindagi har kisi ke liye ek jaise nahi hoti, par har kisi ke liye kuch kehkar jaati zaroor hai. Isliye jab bhi zindagi kuch sikhaye, use ignore mat karo.

Kabhi agar sab kuch thik hote hue bhi andar se kuch tootta hua mehsoos ho, to khud se ek mulaqat karo – bina kisi shikayat ke, sirf samajhne ke liye.
Likho, taaki tum khud ko sun sako.
Likho, taaki zindagi se tumhara rishta  aur gehra ho jaye.

Aur yaad rakho —
Zindagi jeene ke liye hoti hai, sirf kaatne ke liye nahi.
Apne chhote chhote sukoon talasho, aur unme apna jahan basa lo.




💬 Aapki zindagi ne aapko kya sikhaya?
Kya aapke dil ne bhi kabhi zindagi ki awaaz suni hai?
Apna ek pal, ek ehsaas ya ek sabak zaroor comment mein likhna...
Shayad aapki baat kisi aur ke dil ko himmat de jaaye 💗



Dhanyawad!

Radhe Radhe! 🙏  
Aapka din mangalmay ho🌹

Comments

Popular posts from this blog

Jal Hi Jeevan Hai — Har Boond Mein Jeevan Ki Kahani

Har Aurat ki ek hi kahani

Maa banne ka safar- pet me palti nanhi si jaan-maa bachcha or pita ka rishta