Zindagi Kya kehti Hai- Zindagi Ki Awaz
Radhe Radhe doston! Rakhi ki diary mein aapka swagat hai! Aaj hum baat karenge zindagi ki... us awaaz ki jo kabhi dheere se hume kuch samjha jaati hai, aur kabhi zor se hila ke keh jaati hai – “Main hoon, aur main tumse kuch kehna chahti hoon…” woh hai zindagi. Zindagi ke thoughts- Na ye sirf waqt hoti hai, na hi sirf lamhon ka ek silsila. Zindagi ek kitaab hai – jisme har panna alag hai, har mod anjaana, aur har sabak gehra. Bachpan mein lagta tha zindagi sirf khilkhilahat ka naam hai. Khilone, chhoti chhoti khushiyan, maa ke haathon ka khaana, aur bina wajah ki muskaan – sab kuch itna asaan lagta tha. Par jaise jaise bade hote gaye, zindagi har mod par kuch kehne lagi. Zindagi ki sachchai- Ek samay aaya jab pehli baar kisi baat ne rulaya... Jab doston ki dosti badal gayi, Jab parivaar ke beech dooriyan mehsoos hone lagi, Jab samajh aaya ki har muskaan ke peeche ek kahani hoti hai, Aur har khushi se pehle ek imtihaan. Zindagi kehne lagi..... “Main hamesha aasaan nahi hoon, par...