Posts

Showing posts from July, 2025

Zindagi Kya kehti Hai- Zindagi Ki Awaz

Radhe Radhe doston! Rakhi ki diary mein aapka swagat hai! Aaj hum baat karenge zindagi ki... us awaaz ki jo kabhi dheere se hume kuch samjha jaati hai, aur kabhi zor se hila ke keh jaati hai – “Main hoon, aur main tumse kuch kehna chahti hoon…” woh hai zindagi. Zindagi ke thoughts- Na ye sirf waqt hoti hai, na hi sirf lamhon ka ek silsila. Zindagi ek kitaab hai – jisme har panna alag hai, har mod anjaana, aur har sabak gehra. Bachpan mein lagta tha zindagi sirf khilkhilahat ka naam hai. Khilone, chhoti chhoti khushiyan, maa ke haathon ka khaana, aur bina wajah ki muskaan – sab kuch itna asaan lagta tha. Par jaise jaise bade hote gaye, zindagi har mod par kuch kehne lagi.   Zindagi ki sachchai- Ek samay aaya jab pehli baar kisi baat ne rulaya... Jab doston ki dosti badal gayi, Jab parivaar ke beech dooriyan mehsoos hone lagi, Jab samajh aaya ki har muskaan ke peeche ek kahani hoti hai, Aur har khushi se pehle ek imtihaan. Zindagi kehne lagi..... “Main hamesha aasaan nahi hoon, par...

Shaadi ke baad ladkiyon ki asli zindagi

Radhe Radhe doston! Rakhi ki diary me aapka swagat hai! Aaj hum baat karenge ek aisi kahani ki... jo sirf ek rishta nahi, jeevan bhar ka saath hoti hai — Shaadi. Shaadi… ek sapna bhi hai, ek chunauti bhi. Ek nayi shuruaat bhi hai, aur kabhi-kabhi apne aap se doori bhi. shaadi ke baad zindagi kaise pal me badal jati hai. Shaadi ke Sapne vs. Haqeeqat- Bachpan se ek sapna dekha hota  hai… ek din dulhan banungi. Lal joda pehnungi, sab mujhe dekhenge. Ek rajkumar aayega, haath pakad kar naye ghar le jaayega… jahan sirf pyaar hoga, swarg sa sundar ek ghar hoga. Lekin shaadi ke baad samjha – ghar sirf eent-patthar se nahi, sahanubhuti se banta hai. Rajkumar bhi insaan hota hai – kabhi pyaara, to kabhi gussel. Aur ghar swarg jaisa tabhi hota hai jab dono milkar use sajate hain — sirf sajawat se nahi, samajh se. Shaadi ka sapna jitna sundar tha, haqeeqat utni gehri thi. 👣 Apne pan ko dhoondhna ek naye ghar mein- Apne ghar se nikal kar jab ek ladki kisi naye ghar mein kadam rakhti hai,...

Hindi Cinema Ka Safar-Yaadon Se Bhara Har Ek Frame

Radhe Radhe doston! Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai! Aaj main lekar chalti hoon aapko ek aise safar par, jo sirf filmon ka nahi… ehsaason ka hai.  Hindi cinema se jude ehsaas- Bachpan ke woh din, jab ek film dekh lena bhi ek celebration hota tha. Jab Sunday ki subah Doordarshan par aati purani filmein, poore ghar ka mahaul badal deti thi. Jab maa nashta banate hue awaaz lagati thi – “Film shuru ho gayi!”, aur hum bhaag kar TV ke saamne ja baithte the. Jab papa ke favorite dialogues hum sabko yaad ho jaate the, aur ek gana sun kar puri kahani yaad aa jaati thi. Hindi cinema ke purane daur ki  woh masoom filmein… unmein ek alag hi khushbooti thi. Aaj bhi jab woh geet bajte hain na, to lagta hai jaise dil kisi purani gali se ho kar aa gaya ho. Aaj ke iss post mein, main baat karungi Hindi cinema ke un pyaare palon ki… jinmein humne sirf kahani nahi dekhi, balki apna jeevan mehsoos kiya.  Film ke parde par chalti woh kahaniyaan, jaise hum sabke dil ki awaaz ban jaati thi...

Parivaar – Jahan Dil Basta Hai, Zindagi Muskurati Hai

Radhe Radhe doston! Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai! Kya aapne kabhi socha hai… ghar ka matlab sirf chaar deewarein nahi hota, aur parivaar ka matlab sirf kuch rishte nahi hote? Parivaar wo ehsaas hai jo dard ko aadha aur khushi ko dugna bana deta hai. Wo aangan hai jahan sanskaar ugte hain, wo chhat hai jahan pyaar barasta hai. Aaj ka blog unhi rishton ke liye — jo sirf khoon se nahi, ehsaas se jude hote hain. Un logon ke liye — jinke saath sirf waqt nahi, zindagi bitaai jaati hai. Ehsas ka rishta --- khoon se pare- Parivaar sirf maa-baap, bhai-behen, pati-patni ya bachche nahi hote. Parivaar wo hote hain jo aapke bina kahe apki baat samajh jaayein, Jo aapke aansuon mein chhupa dard dhoondh lein, Jo aapke khamoshi mein aapke jazbaat padh lein. Bachpan mein jab gir jaate the, maa daud ke aati thi. Thoda bada huye toh papa ki ek muskurahat mein himmat milti thi. Aur kabhi kabhi bhai-behen ki n...

Bhartiye sena ke jawan - indian army

Radhe Radhe doston! Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai! Aaj main lekar jaungi aapko ek ese safar per jisme hum baat karenge un veer senaniyon ki jo apni jaan ki parwah kiye bina, sirf ek tirange ke liye sab kuch luta dete hain. Jo muskurate hue goliyan khate hain, sirf is liye ki hum apne ghar mein chain ki neend so sakein. Jo har din maut se ladte hain, taaki hamara kal surakshit rahe. . Indian Army — Ek Junoon, Ek Samarpan- Jab hum sab raat ko aaram se so rahe hote hain, tab koi jawan barf mein apna tanman jhonk raha hota hai. Jab hum naye saal ki party mein dance karte hain, tab koi jawan border par apni nazre gadaye khada hota hai. Aur jab hum family ke saath picnic bana rahe hote hain, tab koi jawan sirf ek photo dekhkar apne ghar ki yaad mita raha hota hai.                                                                ...

Har Aurat ki ek hi kahani

Radhe Radhe doston! Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai! Aaj main lekar jaungi aapko ek ese safar per Jo har Aurat ki jindagi ki sachchai hai Har aurat ke andar ek kahani chhupi hoti hai — kuchh boli gayi, kuchh sirf aankhon mein basi hoti hai. Kabhi maa ke roop mein, kabhi beti ke, kabhi patni toh kabhi behen ke roop mein — har aurat apne astitva ke liye, apne sapnon ke liye, kabhi duniya se toh kabhi khud se ladti hai. yeh kahani hai uske sabr ki, samarpan ki, aur us atoot shakti ki jo use haarne nahi deti. Aurat ka safar asaan nahi hota, par har mod par woh ek misaal ban jaati hai. Bachpan – Khushiyo Ka Ghar, Par Riwaazon Ka Bandhan- Ek chhoti si ladki jab janm leti hai, toh ghar mein khushi to hoti hai, par kahi na kahi yeh sawaal bhi uthta hai – “ladka kyu nahin huaa?” Jab ladka hota hai toh ladoo batte hain, jab ladki hoti hai toh aankhon mein thoda sa sankoch aa jaata hai. Uske khilne se pehle hi us par bohot saare niyam thop diye jaate hain — “aise baitho, waise mat bolo, z...

Apnon Se Dur Sapnon Ke Paas – Pardesiyon Ki Kahani

Radhe Radhe doston! Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai! Aaj main lekar jaungi aapko ek ese safar    per jisme sapno ko poora karne ka jazba   hai or apno se door hone ka dard. Kabhi kabhi sapne humein un raahon par   le jaate hain, jahan dil nahi jana chahta.  par  manzil hoti hai. Apne desh se dur   apne  logo se dur — sirf ek khwaab ke peeche chalna padta hai. Yeh kahaani un sabhi logon ki hai jo apni zindagi mein kuch banane ke liye apni mitti chhod aaye hain — par har raat usi mitti ki khushboo mehsoos karte hain. Dooriyon ka dard, sapnon ka jazba- Nayi jagah, naye log, naye tareeke — sab kuch naya hota hai. Pehli baar jab akele airport se nikle the, dil mein umang thi, par aankhon mein halke se aansu bhi. Sapne bade the, par dil chhoti chhoti baton mein ulajh gaya tha — maa ke hath ka khana, papa ki daant bhari chinta, behan ke saath  ki ladai, doston ke saath ki woh masti... sab kuch ek pal mein peeche reh gaya. Par fir...

Chhutti Ka Din — Khud Se Milne Ka Waqt

Radhe Radhe doston! Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai! Aaj main aapko lekar chalti hoon ek aise din ke safar par, jiska hum sabko besabri se intzar rahta hai — chhutti ka din. Chhutti ka din sirf kaam se break nahin hota, balki dil ko sukun dene ka mauka bhi hota hai. Chhutti ka matlab sirf rest nahi hota… Bachpan mein chhutti ka matlab hota tha — der tak sona, TV dekhna, bina uniform ke din bitana… Jawani mein chhutti ka matlab ban gaya — pending kaam poore karna, aur kabhi kabhi bas phone scroll karte rehna. Lekin jab hum thoda ruk kar sochte hain… toh chhutti ek aur bhi kuch hoti hai— Ek din jo sirf free time nahi, balki apne aap ke paas lautne ka ek zariya hota hai  Ek chhoti si subah, bina alarm ke- Chhutti ki subah kuch alag hi hoti hai— na koi office ki daud, na school ki tayyari, na kaam ka pressure. Sirf ek halka sa sukoon — bina kisi tension ke aankh kholna, aur chadar mein lipti huyi ek narm si muskurahat। Kai baar hum is subah,woh sab mehsoos karte hain, jo busy rout...

Janmdin — Beete Saal Ka Safar aur Khushiyon Ka Din

Radhe Radhe doston! Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai Aaj mai aapko lekar chalti hoon ek ese din  ke safar par jo hum sab ke liye khaas hota hai. Hamara janmdin..... Janmdin… ek aur saal poora hone ki pehchaan. Ek aur saal ka safar, kuchh muskaan, kuchh aansu, kuchh sapne, kuchh thakawat, kuchh nayi umeedein, aur kuchh purani yaadein. Aur in sabke beech — ek din aata hai, jo sirf cake, wishes, aur gifts ka nahi hota, balki andar se jhuk kar apne aap ko dekhne ka din hota hai. 🌿 Beete Saal Ka Safar- Is saal ka safar sirf dinon ka hisaab nahi,  yeh un lamhon ki kahani hai.                    jahan hum muskuraye,roye, gire, sambhale, aur kabhi chup reh kar bhi apne aap se  ladte rahe. Kuchh rishte the jo chhute, kuchh naye log aaye — waqt yoonhi guzarta raha. Janmdin — kuchh Pal Apne Liye- Har saal ek din aata hai jo sirf calendar par ek date nahi hota — woh hota hai ek pause, ek reflection, ek pal sirf apne liye. Birthda...

Yaadein Zindagi Ka Sahara- Beete Dinon Ki Parchhaiyan

Radhe Radhe doston! Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai! Aaj baat karenge un yaadon ki jo kabhi purani nahi hoti —                                    kyunki Yaadein hi Zindagi ka Sahara banti hain. Kabhi socha hai? Hum kitna bhi aage badh lein — nayi gaadi, naya ghar, naye sapne….                            Lekin dil ki kisi kone mein kuch purani yaadein hamesha zinda rehti hain. Haan, woh hi yaadein jo kabhi achanak se hansaa deti hain aur kabhi akeli raat mein aansu bhi nikalwa deti hain. Par sach yeh hai ki jab sab kuch chhoot jaata hai — tab yaadein hi Zindagi ka Sahara ban jaati hain. 🌿 Yaadein Kyun Jaruri Hain? Zindagi mein sab kuch badal jaata hai — log, sheher, rishton ke rang, sapne — sab kuch. Par yaadein… woh kabhi nahi badalti. Woh bas dil ke kisi kone mein chup chaap baithi rehti hain. Jab bhi thakan mehsoos hoti h...

Ek Din — Jo hamesha yadon me zinda hai

Radhe Radhe doston!    Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai! Aaj main aapko le jaa rahi hoon ek aise safar par jiska naam hai — “Ek Din”. Kabhi socha hai? Kabhi kabhi sirf ek din hi puri zindagi ka rukh badal deta hai. Hum aksar sochte hain — kya hoga ek din mein? Par sach yeh hai ki zindagi mein jitne bade badlaav aate hain, woh kisi ek din se hi shuru hote hain. ☀️ Ek Din Ka Ehsaas Ek din kisi kalendar ki tareekh nahi hoti — woh ya toh yaadon mein bas jaati hai ya jeevan ko nayi disha de jaati hai. Bachpan mein woh pehla din yaad karo jab aapne pehli baar school jaana seekha tha — kitna darr laga tha, kitni curiosity thi. Us ek din ne padhai ki duniya mein kadam rakhwa diya. Aaj bhi socho — kya hota agar woh ek din school nahi jaate? 🌿 Ek Din Ka Prabhav- Aksar hum samajhte nahi ki ek din kitna badi cheez hota hai. Kabhi kabhi hum kisi se milte hain, baat karte hain — aur woh ek din zindagi bhar ka rishta ban jaata hai. Kabhi koi sapna hum ek din soch lete hain — aur poori z...

Ek Saccha Dost — Zindagi Ka Sabse Khoobsurat Rishta

 Radhe Radhe doston! Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai! Aaj hum baat karenge ek aise rishte ki,         jo na khoon se banta hai, na paison se.        Jo sirf dil se banta hai —  Dosti ka rishta. Kehte hain dosti ka koi rang, jaat, mazhab nahi hota — bas ek dil hota hai jo bina matlab ke doosre dil ko samajh leta hai. Aaj main aapko le jaa rahi hoon ek aise rishte ki kahani ke safar per jo na kabhi purana hota hai, na hi kabhi tootta hai  💙 Bachpan Se Shuru Hoti Ye Dosti- Bachpan ki dosti sabse pyari hoti hai.      Ghar ke aangan mein pakdam pakdai, mitti mein khelana, school ki uniform mitti se bhari hona.  🌈 Sachche Dost ki Pahchan - Zindagi mein hum kitne logon se milte hain school, college, office, mohalla, train, bus  har jagah dost bante hain.                              Par har milne wala dost Saccha Dost nahi hota. ...

Jal Hi Jeevan Hai — Har Boond Mein Jeevan Ki Kahani

Radhe Radhe doston! Rakhi ki Diary mein aapka swagat hai! Aaj main aapko lekar chalti hoon ek safar par, jahan paani ki har boond kitni keemti hai — iski ahmiyat hum samjhenge. 💧 Jal hi Jeevan hai- Ye line humne kitni baar suni hai, par kitni baar sach mein mehsoos ki hai?              Paani hamare liye sirf ek suvidha nahi — zindagi ka asli adhaar hai.                         Lekin aaj bhi hum ise sambhal kar nahi.   chal rahe. 🌊 Paani: Zindagi Ka Aadhaar- Sochiye — bina khana insaan kuch din chal sakta hai, par bina paani ghante mushkil ho jaate hain. Gaon-gaon mein aaj bhi mahilaayein door-door tak paani bharne jaati hain.        Shehron mein tankers aur pipeline par lambi line lagti hai. Par fir bhi hum bina soch-vichaar ke paani baha dete hain — tap khula chhod dete hain, leak ko ignore kar dete hain. 🌱 Prakriti Ka Uphaar — Sambhal Kar- Prakriti ne hu...